College mila Delhi ka Ramjas College (DU), aur coaching li Vision IAS Karol Bagh se. Rehne laga Rajinder Nagar ke ek PG mein, 3 ladko ke sath chhoti si room.
Shuru ke dino mein sab control mein tha. Subah coaching, din mein college, raat mein padhai. Fir uski zindagi mein entry hui Kabir Mehra ki – ek total Dilli boy, mastikhor, party freak.
Kabir ne uski boring life mein excitement daal diya. Coaching bunk karne laga, late night coffee, CP ke café scenes, Dilli explore karna... sab kuch naya tha uske liye.
Fir college mein hui mulaqat Tanya Kapoor se – ekdum classy, rich, bold. Uske dad ka naam tha Vikram Kapoor, Delhi ke top builder. Tanya har jagah shine karti thi – looks, confidence, swag sab top level.
Aarav usse door rehna chahta tha… par Tanya ne hi baat start ki.
Tanya (laugh karte hue): “Tum bahut boring ho… lekin tumse baat karke sukoon milta hai.”
Dheere dheere daily VC, notes share, walk after class – dono ke beech bond banta gaya. Aarav confuse tha… pehli baar kisi ladki ke liye feel kar raha tha.
Phir aaya Tanya ka birthday. Aarav pehli baar uske GK wale bungalow gaya. Bada party tha – DJ, lights, pool, drinks… sab kuch classy.
Aarav ka dil us moment mein full feel kar raha tha. Party ke baad dono chhat pe baithke late night tak baat karte rahe Tab Tanya ne kaha:
Tanya: “Mujhe lagta hai tu aur main ek doosre ko samajhte hain… waise duniya mein bahut kam log hote hain jo asli hote hain.”
Us din ke baad unki bonding aur strong ho gayi.
Lekin phir hua twist...
Ek din Aarav Vision ke baad CP gaya notes lene café mein. Wahan se nikla toh dekha ek dusre café ke corner mein Tanya ek ladke ke saath close baithi thi – has rahi thi, flirt wali body language, cheek pe haath rakha usne… aur sab kuch Aarav ne dekh liya.
Dil hil gaya. Kuch keh nahi saka. Seedha PG wapas aa gaya.
Tanya: “Aarav? Kya hua? Kahan ho? Tumse kuch zaruri baat karni hai…”
Usne socha break kar de sab… coaching bhi chod de, Tanya se door ho jaye… lekin...
Next Part hint: Tanya explain karegi sab kuch – wo ladka kaun tha, kyun mil rahi thi, kya real feelings thi Aarav ke liye… aur Aarav kya fir se trust karega?
Comments
Post a Comment